اردو हिंदी
Humne to bain mein nauhe mein adakari ki | Shaahi Shayari
humne to bain mein nauhe mein adakari ki

Ghazal

Humne to bain mein nauhe mein adakari ki

Junaid Akhtar

;

hum ne to bain mein nauhe mein sadakari ki
aaj dafna di hai mayyat bhi rawa-dari ki

hum se bad-tar koi fankar jahan mein hoga
hum ada-kariyan karte hain adakari ki

hum ne ghairat ka baghawat ka alapa dipak
tan unchi hai magar aaj bhi darbari ki

hum ko sae se bhi shahon ke bacha kar rakhna
hum pe aa jae na tohmat bhi taraf-dari ki

wo na manenge ki ye ain KHata hai un ki
wo jo yari ko bhi kahte hain ki ayyari ki

hum to anjaan the is ghar mein hamara kya tha
tum to timsal the duniya mein samajhdari ki

jin se uThti thin siyah aag ki lapTen har dam
hum ne aisi bhi zaminon mein shajar-kari ki

tum ko sote mein bhi kab aankh uTha kar dekha
hum ne KHwabon mein bhi aaankhon ki nigah-dari ki