hum ne sau sau tarah banai baat
samne us ke ban na aai baat
sach to kahta hai dost dushman hai
hum ne naseh ki aazmai baat
baat ke kaTne ka shikwa kya
ho jahan qata aashnai baat
wade par us se kyun qasam mange
muft bigDi bani banai baat
hum ko dushman se ho gai malum
dost ne hum se jo chhupai baat
kya shab-e-wasl ko ghaTana hai
gham hijran ki kyun baDhai baat
ye bhi un ke dahan ki KHubi hai
ki samajh mein meri na aai baat
shahr se kyun karen wo azm-e-safar
ham-nashin tu ne kya uDai baat
wan se ja kar KHabar nahin laya
hai kahin ki suni sunai baat
bhed apnon se bhi na kah 'nazim'
munh se nikli hui parai baat
Ghazal
Humne sau sau tarah banai baat
Syed Yusuf Ali Khan Nazim