hum ne sahra ko sajaya tha gulistan ki tarah
tum ne gulshan ko banaya hai bayaban ki tarah
raat ka zahar piye KHwab ka aanchal oDhe
kaun hai sath mere gardish-e-dauran ki tarah
DhunDhta phirta hun ab tak bhi hain sahra sahra
usi lamhe ko jo tha fasl-e-bahaaran ki tarah
maslahat-kosh zamane ka bharosa kya hai
jo bhi milta hai yahan gardish-e-dauran ki tarah
aaj wo lamhe mujhe Daste hain tanha pa kar
kabhi mahbub the jo mujh ko dil-o-jaan ki tarah
jaane kya baat hai kyun jashn-e-masarrat mein nadim
yaad aati hai teri sham-e-ghariban ki tarah
kab talak shahr ki galiyon mein phiroge yaro
aasmanon pe uDo taKHt-e-sulaiman ki tarah
ye to parwanon ke dil hain jo pighal jate hain
kaun jalta hai yahan sham-e-shabistan ki tarah
kaun KHwabon ke jazire se chala aaya 'KHayal'
dil mein ek raushni hai subh-e-daraKHshan ki tarah
Ghazal
Humne sahra ko sajaya tha gulistan ki tarah
Faiz ul Hasan