hum ne mana ki jahan hum the gulistan to na tha
magar aisa bhi wahan kucha-e-viran to na tha
apna saya tha faqat zist ka saman to na tha
sath chalta tha jo saya mere insan to na tha
KHar-o-KHas gul se nahin kam tere viranon ke
dasht mein warna kahin koi gulistan to na tha
zarra zarra hai teri KHak ka mahbub mujhe
us ka ehsas mujhe yan hai magar wan to na tha
mujh pe ilzam lagate ho junun-KHezi ka
chaak-daman tha magar chaak-gareban to na tha
kaun samjhega use us ko zarurat kya hai
kabhi mohtaj-e-bayan qissa-e-'sultan' to na tha

Ghazal
Humne mana ki jahan hum the gulistan to na tha
Sultan Ghauri