hum ne ki hai tauba aur dhumen machati hai bahaar
hae bas chalta nahin kya muft jati hai bahaar
lala-e-gul ne hamari KHak par Dala hai shor
kya qayamat hai muon ko bhi satati hai bahaar
shaKH-e-gul hilti nahin ye bulbulon ko bagh mein
hath apne ke ishaare se bulati hai bahaar
hum giraftaron ko ab kya kaam hai gulshan se lek
ji nikal jata hai jab sunte hain aati hai bahaar
nargis o gul ki khili jati hain kaliyan dekho sab
phir bhi unhi KHwabida fitnon ko jagati hai bahaar
Ghazal
Humne ki hai tauba aur dhuMein machati hai bahaar
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan