hum ne junun-e-ishq mein kufr zara nahin kiya
us se mohabbaten to kin us ko KHuda nahin kiya
umr hui ki dekh kar nind uchaT gai thi han
aankh ne phir kabhi raqam KHwab naya nahin kiya
tujh se kaha tha KHushbuen us ke badan ki laiyo
mera ye kaam aaj tak tu ne saba nahin kiya
hum sa bhi is jahan mein hoga na koi yarghamal
qaid se us ki aaj tak KHud ko riha nahin kiya
kaise kahun ki dosti tum ne nibahi dosto
tum ne kured kar koi zaKHm hara nahin kiya
dekh to bandagi mein bhi kaisa ana ka pas tha
lakh dukhon ke bawajud koi gila nahin kiya
soch rakha tha ishq se rang bharenge sher mein
dil ne magar nahin kya ishq 'ziya' nahin kiya
Ghazal
Humne junun-e-ishq mein kufr zara nahin kiya
Zia Zameer