hum ne jalte hue KHemon ki wo shamen rakh din
sher mein lafz rakhe lafz mein chiKHen rakh din
main ne bhi us ko diya pahli mulaqat mein dil
mere daman mein bhi us ne meri ghazlen rakh din
yun laga aankh bachane pe jhapakti hai palak
usi taswir pe main ne bhi nigahen rakh din
raushni ke har ek imkan pe Dala parda
ek laDki ne meri soch pe zulfen rakh din
phir uTha yaad ke aangan se udasi ka dhuan
kis ne taqon mein jala kar meri shamen rakh din
ishq itna tha ki mahfuz kahan rakhte hum
aur man bap ne baste mein kitaben rakh din
pesh jab karne lage sab tere jalwon ko KHiraj
hum ne bhi la ke wahan tasht mein aankhen rakh din
Ghazal
Humne jalte hue KHemon ki wo shaMein rakh din
Nazir Wahid