hum ne dil us ke tain nazr guzara apna
us ne samjha na sar-e-bazm ishaara apna
kya pukarun ki sada bhi na wahan jaegi
jaane kis des gaya yar wo pyara apna
le gaya dur use KHwab-e-adam ka afsun
nind se phir na uTha anjuman-ara apna
umr ke sath juda hote chale jaenge yar
kam nahin hoga kisi taur KHasara apna
lauT kar aae to basti hai na talab na bagh
hum yahin chhoD gae the wo nazara apna
sham hote hi bhaTakte the use dekhne ko
usi tarik gali mein tha sitara apna
gham hue aise ki aata hi nahin koi jawab
nam le le ke bahut hum ne pukara apna
ye jo galiyan hain mere shahr ki hain meri rafiq
unhi galiyon mein bahut waqt guzara apna
hum wo bimar-e-ana hain ki hue jis se KHafa
us ko chehra bhi dikhaya na dobara apna
barha pesh hua KHilat-e-shahi hum ko
hum ne malbus-e-gadai na utara apna
kya KHabar ban gai kis tarah ghazal ki surat
hum ne to dard hi kaghaz pe utara apna
ya-ali kahne se haT jate hain raste se pahaD
ek yahi nam hai mushkil mein sahaara apna
Ghazal
Humne dil uske tain nazr guzara apna
Farasat Rizwi