hum ne DhunDen bhi to DhunDen hain sahaare kaise
in sarabon pe koi umr guzare kaise
hath ko hath nahin sujhe wo tariki thi
aa gae hath mein kya jaane sitare kaise
har taraf shor usi nam ka hai duniya mein
koi us ko jo pukare to pukare kaise
dil bujha jitne the arman sabhi KHak hue
rakh mein phir ye chamakte hain sharare kaise
na to dam leti hai tu aur na hawa thamti hai
zindagi zulf teri koi sanware kaise
Ghazal
Humne DhunDen bhi to DhunDen hain sahaare kaise
Javed Akhtar