hum ne dekha hai itne khanDar KHwab mein
ab to lagta nahin hum ko Dar KHwab mein
apni barson se hai ek wahi aarzu
roz aa jae hai jo nazar KHwab mein
waqt aane pe sab ko ghashi aa gai
jo batate the KHud ko niDar KHwab mein
zulm ki aandhiyan baDh ke tufan huin
mast duniya hai par raat bhar KHwab mein
ishq ki ye masafat bhi kya KHub hai
chand tare hue rahguzar KHwab mein
un se hota hai har raat ahd-e-wafa
aur nibhate hain hum beshtar KHwab mein
roz o shab kho gae hain na jaane kahan
ab to hoti hai sham o sahar KHwab mein
jo bahut mo'tabar aa rahe hain nazar
un ke hote hain kar-e-digar KHwab mein
zindagi ki haqiqat ajab ho gai
aaj kal ho rahi hai basar KHwab mein
Ghazal
Humne dekha hai itne khanDar KHwab mein
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman