ham-nashino kuchh nahin rakkha yahan par kuchh nahin
chhoD do is ki hawas duniya ke andar kuchh nahin
dar khula hi rahne do ghar se nikalte waqt tum
kuchh agar hai to tumhaari zat hai ghar kuchh nahin
baen mein suraj rahe aur chand dahne hath mein
dil agar raushan nahin to shobada-gar kuchh nahin
main sarapa raat bhi hun main sarapa subh bhi
mujh se kam-tar kuchh nahin aur mujh se bartar kuchh nahin
ek chamak aankhon mein aa jati hai us ko dekh kar
warna dil to muttafiq hai aap se, zar kuchh nahin
aaine se ro ke puchha jab kabhi main kaun hun
aaina bola wahin fauran palaT kar kuchh nahin
waqt ne sab dur kar di hain meri KHush-fahmiyan
ye mera muKHlis hai mujh ko is se baDh kar kuchh nahin
Ghazal
Ham-nashino kuchh nahin rakkha yahan par kuchh nahin
Shabnam Shakeel