hum na jaenge rahnuma ke qarib
luT lega hamein bula ke qarib
aabdida hai ishrat-e-duniya
kis qadar gham hain be-nawa ke qarib
ek parinda lapak ke pahuncha tha
phir bhi pyasa raha ghaTa ke qarib
zarf-e-dil aazma rahi hai sharab
jam rakkhe hain parsa ke qarib
chashm-e-pur-nam wo aaj uTThe hain
kal jo baiThe the muskura ke qarib
un se puchha ki zindagi kya hai
ek diya rakh diya bujha ke qarib
fasle raaz darmiyan hain magar
aadmi phir bhi hai KHuda ke qarib

Ghazal
Hum na jaenge rahnuma ke qarib
Shafiullah Raz