hum na is Toli mein the yaro na us Toli mein the
ne kisi ki jeb mein the na kisi jholi mein the
banda-parwar sirf nazzare pe qadghan kis liye
phul phal jo bagh ke the aap ki jholi mein the
aap ke naron mein lalkaron mein kaise aaenge
zamzame jo an-kahi ek pyar ki boli mein the
phir kisi kufe mein tanha hai koi ibn-e-aqil
us ke sathi sab ke sab sarkar ki Toli mein the
ab dhanak ke rang bhi un ko bhale lagte nahin
mast sare shahr wale KHun ki holi mein the
Ghazal
Hum na is Toli mein the yaro na us Toli mein the
Aal-e-Ahmad Suroor