اردو हिंदी
Hum mue phirte hain aur KHwahish-e-jaan hai usko | Shaahi Shayari
hum mue phirte hain aur KHwahish-e-jaan hai usko

Ghazal

Hum mue phirte hain aur KHwahish-e-jaan hai usko

Qayem Chandpuri

;

hum mue phirte hain aur KHwahish-e-jaan hai us ko
ab talak bhi wahi jine ka guman hai us ko

ai dil afsurdagi-e-dagh se kyun hai tu malul
jo gul is bagh mein aaya hai KHizan hai us ko

qissa-e-barhana-pai ko mere ai majnun
KHar se puchh ki sab nok-e-zaban hai us ko

aage us gul ke na mara kabhu ghunche ne to dam
chahe bulbul so kahe tab-e-bayan hai us ko

ai falak bojh do aalam ka tu 'qaem' pe na Dal
apni hasti bhi kuchh in rozon garan hai us ko

kar ke he he ai nam-e-ashk tu rowe mujh ko
aaj agar sail mein KHun ke na Dubowe mujh ko

KHak jun aaina milna mujhe rakhta hai shugun
tira-tar hun main jo pani se to dhowe mujh ko

faeda gul ka na mujh se hai na sae ki umid
kah do dahqan se ki ba-huda na bowe mujh ko

garmi-e-nala se main aaj jala jata hun
ko dam-e-sard ki aa kar wo samowe mujh ko

sath hai sang o sharar ka ye kaho us but se
kya ho aaghosh mein gar le ke wo sowe mujh ko

na mulaqat na ashfaq na wada na payam
kyunki taskin tere hijr mein howe mujh ko

KHatam-e-dast-e-sulaiman se hun 'qaem' main aziz
saKHt pachhtae wo jo hath se khowe mujh ko