ham-martaba na samjho rutba mera to jaano
shan-e-zaman raho tum mujh ko gada to jaano
yun to nikal dega sandal-badan ka kas-bal
bose ki kar de KHwahish puri mua to jaano
ab se bhi sikh lo tum panw zamin pe dharna
kaghaz qalam uThaya tum par likha to jaano
shishe pe pa-barahna chalna nahin hai aasan
kirchen chubhen to jaano talwa chhila to jaano
mue ne munh ki khai phir bhi ye zor zori
ye reKHti hai bhai tum reKHta to jaano
ghazi-miyan hain chhoTe lekin baDi si dum hai
ye dum phansi to jaano kuchh bhi hua to jaano
kahte hain 'qasmi' bhi bachpan ka hai chaTora
hatthe chaDhegi jab bhi wo dilruba to jaano
Ghazal
Ham-martaba na samjho rutba mera to jaano
Shamim Qasmi