اردو हिंदी
Hum kuchh aise tere didar mein kho jate hain | Shaahi Shayari
hum kuchh aise tere didar mein kho jate hain

Ghazal

Hum kuchh aise tere didar mein kho jate hain

Munawwar Rana

;

hum kuchh aise tere didar mein kho jate hain
jaise bachche bhare bazar mein kho jate hain

mustaqil jujhana yaadon se bahut mushkil hai
rafta rafta sabhi ghar-bar mein kho jate hain

itna sanson ki rifaqat pe bharosa na karo
sab ke sab miTTi ke ambar mein kho jate hain

meri KHuddari ne ehsan kiya hai mujh par
warna jo jate hain darbar mein kho jate hain

DhunDhne roz nikalte hain masail hum ko
roz hum surKHi-e-aKHbar mein kho jate hain

kya qayamat hai ki sahraon ke rahne wale
apne ghar ke dar-o-diwar mein kho jate hain

kaun phir aise mein tanqid karega tujh par
sab tere jubba-o-dastar mein kho jate hain