hum ko yan dar dar phiraya yar ne
la-makan mein ghar banaya yar ne
aap apne dekhne ke waste
hum ko aaina banaya yar ne
apne ek adna tamashe ke liye
hum ko suli par chaDhaya yar ne
aap chhup ke hum ko kar ke ru-ba-ru
KHub hi ruswa karaya yar ne
aap to but ban ke ki jalwagari
aur hamein kafir banaya yar ne

Ghazal
Hum ko yan dar dar phiraya yar ne
Niyaz Barelvi