hum ko to be-sawal mile be-talab mile
hum wo nahin hain saqi ki jab mangen tab mile
fariyaad hi mein ahd-e-bahaaran guzar gaya
aise khule ki phir na kabhi lab se lab mile
hum ye samajh rahe the hamin bad-nasib hain
dekha to mai-kade mein bahut tishna-lab mile
kis ne wafa ka hum ko wafa se diya jawab
is raste mein luTne wale hi sab mile
milte hain sab kisi na kisi muddaa ke sath
arman hi raha ki koi be-sabab mile
rakkha kahan hai ishq ne 'ajiz' ko hosh mein
mat chheDiyo agar kahin wo be-adab mile
Ghazal
Hum ko to be-sawal mile be-talab mile
Kaleem Aajiz