اردو हिंदी
Hum ko shab-e-visal bhi ranj-o-mehan hua | Shaahi Shayari
hum ko shab-e-visal bhi ranj-o-mehan hua

Ghazal

Hum ko shab-e-visal bhi ranj-o-mehan hua

Nizam Rampuri

;

hum ko shab-e-visal bhi ranj-o-mehan hua
qismat KHilaf-e-taba hua jo suKHan hua

phir aane ki hawas mein sahar kis KHushi ke sath
hamrah-e-nala dard-e-jigar bhi man hua

gardish bhi us ke kuche mein hai aur qarar bhi
qismat to dekhiye ki safar mein watan hua

qatil ada-e-shukr ko ya shikwon ke liye
jo zaKHm jism par hua goya dahan hua

sabit-qadam hua na rah-e-ishq mein koi
majnun koi hua to koi kohkan hua

kuchh mujh se shab ko ghair ke izhaar ke liye
ye ishq-bazi ki thi ki apna ye fan hua

dushman se aur hotin bahut baaten pyar ki
shukr-e-KHuda ye hai ki wo but kam-suKHan hua

lab par hansi wo aai wo chin-e-jabin gai
kahta to hun KHata hui diwana-pan hua

aaina dekh dekh ke kya dekhte ho tum
chhuna bhi yan nasib tumhaara badan hua

ab bosa dene mein tumhein kis baat ka hai uzr
gali ke dene se hamein sabit dahan hua

haq baat to ye hai ki usi but ke waste
zahid koi hua to koi barhaman hua

taqdir ki ye baat hai ab kya kare koi
raazi hue wo bose pe to gum dahan hua

phir mere iztirab mein kyun shak hai aap ko
ulfat ka jab yaqin tumhein ai jaan-e-man hua

lab tak na aaya harf-e-tamanna kabhi 'nizam'
goya mera suKHan bhi tumhaara dahan hua