hum ko hawas-e-jalwa-gah-e-tur nahin hai
us husn ki kya qadr jo mastur nahin hai
afsana-e-majnun se nahin kam mera qissa
is baat ko jaane do ki mashhur nahin hai
kabe ko chale jaen dar-e-dost se uTh kar
par us ka satana hamein manzur nahin hai
wo meri ayaadat ko zarur aaengi hamdam
kahte hain ki makkar hai ranjur nahin hai
khilne se bhala us ke dukhe kyun dil-e-bulbul
hai ghuncha-e-gul zaKHm ka angur nahin hai
dawat se musaKHKHar ho na taat se mayassar
hun jis pe fida wo pari-o-hur nahin hai
mushrik kahe aashiq ko jo le nam KHuda ka
sach kahte ho us shoKH se kuchh dur nahin hai
ho raat to jite rahen ummid-e-sahar par
ye roz-e-siyah hi shab-e-dijur nahin hai
'nazim' main paDhata use 'ghaalib' ke qasaed
afsos ki 'KHaqani'-e-maghfur nahin hai
Ghazal
Hum ko hawas-e-jalwa-gah-e-tur nahin hai
Syed Yusuf Ali Khan Nazim