hum ko aadat qasam nibhane ki
un ki fitrat hai bhul jaane ki
sar jhuka kar main kyun nahin jiti
bas shikayat yahi zamane ki
us ki sharton pe mujh ko hai jina
kaisi diwangi diwane ki
us ko nafrat hai ya mohabbat hai
phir zarurat hai aazmane ki
baad marne ke le ke jaungi
aarzu apne aashiyane ki
main to yun bhi sulag rahi 'sarhad'
kya paDi aag yun lagane ki
Ghazal
Hum ko aadat qasam nibhane ki
Seema Sharma Sarhad