hum ki chehre pe na lae kabhi virani ko
kya ye kafi nahin zalim teri hairani ko
kar-e-farhad se ye kam to nahin jo hum ne
aankh se dil ki taraf moD diya pani ko
shisha-e-shauq pe tu sang-e-malamat na gira
aks-e-gul-rang hi kafi hai giran-bani ko
daman-e-chashm mein tara hai na jugnu koi
dekh ai dost meri be-sar-o-samani ko
tu ruke ya na ruke faisla tujh par chhoDa
dil ne dar khol diye hain teri aasani ko
han mujhe zabt hai sauda hai jinnon hai shayad
de lo jo nam bhi chaho meri nadani ko
jis mein mafhum ho koi na koi rang-e-ghazal
'sad' ji aag lage aisi zaban-dani ko
Ghazal
Hum ki chehre pe na lae kabhi virani ko
Saadullah Shah