hum junun pesha ki rahte the teri zat mein gum
ho gae silsila-e-gardish-e-haalat mein gum
arsa-e-wasl mein bhi harf-e-tamanna na khula
husn-e-ilham raha parda-e-ayat mein gum
aql angusht-ba-dandan hai nazar hairan hai
kaun si chiz hui arz-o-samawat mein gum
kitne kanan hue KHwab-e-zuleKHa mein asir
kitne yaqub rahe hijr ke sadmat mein gum
koi mail-ba-samaat na hua sad afsos!
naghma-e-dard raha sina-e-jazbaat mein gum
main tere shahr se guzra hun bagule ki tarah
apni duniya mein magan apne KHayalat mein gum
Ghazal
Hum junun pesha ki rahte the teri zat mein gum
Arshad Mahmood Nashad