hum jo mahfil mein teri sina-figar aate hain
rang-bar-dosh gulistan-ba-kanar aate hain
chaak-dil chaak-jigar chaak-gareban wale
misl-e-gul aate hain manind-e-bahaar aate hain
koi mashuq sazawar-e-ghazal hai shayad
hum ghazal le ke su-e-shahr-e-nigar aate hain
kya wahan koi dil-o-jaan ka talabgar nahin
ja ke hum kucha-e-qatil mein pukar aate hain
qafile shauq ke rukte nahin diwaron se
sainkaDon mahbas-o-zindan ke dayar aate hain
manzilen dauD ke rahraw ke qadam leti hain
bosa-e-pa ke liye rahguzar aate hain
KHud kabhi mauj-o-talatum se na nikle bahar
par jo sare zamane ko utar aate hain
kam ho kyun abru-e-qatil ki kamanon ka khinchao
jab sar-e-tir-e-sitam aap shikar aate hain
Ghazal
Hum jo mahfil mein teri sina-figar aate hain
Ali Sardar Jafri