اردو हिंदी
Hum jaise tegh-e-zulm se Dar bhi gae to kya | Shaahi Shayari
hum jaise tegh-e-zulm se Dar bhi gae to kya

Ghazal

Hum jaise tegh-e-zulm se Dar bhi gae to kya

Basir Sultan Kazmi

;

hum jaise tegh-e-zulm se Dar bhi gae to kya
kuchh wo bhi hain jo kahte hain sar bhi gae to kya

uThti rahengi dard ki Tisen tamam umr
hain zaKHm tere hath ke bhar bhi gae to kya

hain kaun se bahaar ke din apne muntazir
ye din kisi tarah se guzar bhi gae to kya

ek makr hi tha aap ka ifa-e-ahd bhi
apne kahe se aaj mukar bhi gae to kya

hum to isi tarah se phirenge KHarab-haal
ye sher tere dil mein utar bhi gae to kya

'basir' tumhein yahan ka abhi tajraba nahin
bimar ho? paDe raho, mar bhi gae to kya