اردو हिंदी
Hum is dayar ke is KHak-dan ke the hi nahin | Shaahi Shayari
hum is dayar ke is KHak-dan ke the hi nahin

Ghazal

Hum is dayar ke is KHak-dan ke the hi nahin

Khushbir Singh Shaad

;

hum is dayar ke is KHak-dan ke the hi nahin
wahin pe aa ke base hain jahan ke the hi nahin

the jis ka markazi kirdar ek umr talak
pata chala ki usi dastan ke the hi nahin

safar se lauT ke hairat hui parinde ko
ye KHar-o-KHas to mere aashiyan ke the hi nahin

har ek rang mein dekha hai us ko aankhon ne
ye rang pahle kabhi aasman ke the hi nahin

hamein bahaar ke mausam mein le uDi hai hawa
wo barg-e-zard hain hum jo KHizan ke the hi nahin

isi liye nahin rakkha hisab sanson ka
ki masale kabhi sud-o-ziyan ke the hi nahin

talash karte ho kyun 'shad' guzre lamhon ko
wo rah-rau to kisi karwan ke the hi nahin