hum hi tanha na teri chashm ke bimar hue
is maraz mein to kai hum se giraftar hue
sina-e-KHasta hamare se hai ghirbaal ko rashk
nawak-e-gham jigar-o-dil se zi-bas par hue
bikne moti lage bazar mein kauDi kauDi
yaad mein teri zi-bas chashm-e-guhar-bar hue
roz-e-awwal ki tum aa misr-e-mohabbat ke bich
yusuf-e-asr hue raunaq-e-bazar hue
naqd-e-jaan-o-dil-o-din de ke liya hum ne tumhein
saikDon ahl-e-hawas garche KHaridar hue
ghar mein le aae tumhein chah se karne shadi
ki tum is gham-kade mein sham-e-shab-tar hue
ruKH-e-taban se tumhaare ki hai KHurshid-misal
dar-o-diwar sabhi matla-e-anwar hue
DhunDhte tum ko paDe phirte the hum shahr-ba-shahr
KHwar-o-ruswa-e-sar-e-kucha-o-bazar hue
lillahil-hamd ki muddat mein tum ai nur-e-nigah
bais-e-raushni-e-dida-e-KHun-bar hue
KHana-e-chashm mein rakhte the shab-o-roz ki tum
qurrat-ul-ain hue rahat-e-didar hue
dekh kar mehr-o-wafa o karam-o-lutf ko hum
jaante yun the ki tum yar-e-wafadar hue
jis mein tum hote KHushi so hi to hum karte the
par nahin jaante kis waste bezar hue
ab hamein chhoD ke yun zar-o-nizar-o-ghamgin
tum kahin aur hi ja yan se numudar hue
ye to hargiz hi na thi tum se tawaqqo hum ko
ki sitamgar dil-azar jafa-kar hue
na wo iKHlas-o-mohabbat hai na wo mehr-o-wafa
shewa-e-jaur-o-jafa-o-sitam izhaar hue
ya wo altaf-o-karam tha ki sada rahte the
ai gul-andam hamare gae ke haar hue
is mein hairan hain ki kya aisi hui hai taqsir
qatl karne ke tain phirte ho tayar hue
tegh-e-KHun-rez-ba-kaf KHanjar-e-burran ba-miyan
har ghaDi samne aa jate ho KHunKHar hue
phir to kya hai sunte ho uTho bismillah
khinch kar tegh ko aao jo sitamgar hue
warna dil khol ke lag jao gale se pyare
go ki hum qatl hi karne ke saza-war hue
utni hi baat ke kahne mein ki ek bosa do
aah ai shoKH jo aise hi gunahgar hue
tauba karte hain qasam khate hain sunte ho tum
phir nahin kahne ke aage ko KHabar-dar hue
puchhta kya hai tu 'bedar' hamara ahwal
dam-e-KHuban mein phir ab aae giraftar hue
Ghazal
Hum hi tanha na teri chashm ke bimar hue
Meer Mohammadi Bedar