اردو हिंदी
Hum hain mushtaq-e-jawab aur tum ho ulfat sin baid | Shaahi Shayari
hum hain mushtaq-e-jawab aur tum ho ulfat sin baid

Ghazal

Hum hain mushtaq-e-jawab aur tum ho ulfat sin baid

Siraj Aurangabadi

;

hum hain mushtaq-e-jawab aur tum ho ulfat sin baid
naqd-e-dil gar tum kun pahuncha hai to bhijwa dew rasid

bagh mein hum mar gae mahrum-e-wasl-e-gul-badan
hain hamare aaj phul aur bulbulon ke haq mein id

lashkar-e-qalb-e-saf-e-ushshaq mein hai ghalghala
yakka-taz-e-ah kun kis ne kiya hai na-rasid

husn kun hai naqd-e-naz aur ishq kun jins-e-niyaz
phir abas shikwa hai ye sauda hua hai KHush-KHarid

bagh sin gulchin chala tab bulbulon ne ghul kiya
hazrat-e-gul kun kiya jata hai ye kafir shahid

rah-nawardan-e-junun kun fatahyab-e-faiz hai
aablon ke qufl ko KHar-e-bayaban hai kalid

but-paraston kun hai iman-e-haqiqi wasl-e-but
barg-e-gul hai bulbulon kun jild-e-quran-majid

nur-e-jaan fanus-e-jismi sin juda kab hai 'siraj'
shoala tar-e-shama sin kahta hai min-hablil-warid