hum hain manzar siyah aasmanon ka hai
ek itab aate jate zamanon ka hai
ek zahrab-e-gham sina sina safar
ek kirdar sab dastanon ka hai
kis musalsal ufuq ke muqabil hain hum
kya ajab silsila imtihanon ka hai
phir wahi hai hamein miTTiyon ki talash
hum hain uDta safar ab Dhalanon ka hai
kaun se marke hum ne sar kar liye
ye nasha sa hamein kin takanon ka hai
ye alag baat wo kuchh batae nahin
lekin us ko pata sab KHazanon ka hai
sab chale dur ke paniyon ki taraf
kya nazara khule baadbanon ka hai
us ki nazron mein sare maqamat hain
par use shauq andhi uDanon ka hai
aao 'bani' ki KHwaja ke dar ko chalen
aastana hazar aastanon ka hai
Ghazal
Hum hain manzar siyah aasmanon ka hai
Rajinder Manchanda Bani