اردو हिंदी
Hum DhunDte phirte rahe taswir hawa ki | Shaahi Shayari
hum DhunDte phirte rahe taswir hawa ki

Ghazal

Hum DhunDte phirte rahe taswir hawa ki

Hamdam Kashmiri

;

hum DhunDte phirte rahe taswir hawa ki
pani pe thirakti rahi tahrir hawa ki

sunet hain samajhte nahin matlab na maani
hoti hai daraKHton se jo taqrir hawa ki

ehsas nahin hai jinhen be-baal-o-pari ka
karte hain hawa mein wahi tamir hawa ki

dekha hi nahin us ko kisi aankh ne ab tak
khinchi hai musawwir ne jo taswir hawa ki

main bar-sar-e-paikar hun KHud apni ghuTan se
koi to kare dasht mein tadbir hawa ki