hum dekhen kis din husn ai dil us rashk-e-pari ka dekhenge
wo qad wo kamar wo chashm wo lab wo zulf wo mukhDa dekhenge
mat dekh buton ki abru ko haT yan se tu ai dil warna tujhe
ek aan mein bismil kar denge aur aap tamasha dekhenge
dil de kar hum ne aaj use hi dekhi surat tewri ki
ye shakl rahi to ai hamdam kal dekhen kya kya dekhenge
jab dekhi us ki chin-e-jabin yun hum ne 'nazir' us but se kaha
KHair aap to hum se na-KHush hain ab aur ko hum ja dekhenge
kya lutf raha is chahat mein jo hum chahen aur tum ho KHafa
ye baat suni to wo chanchal yun hans kar bola dekhenge
Ghazal
Hum dekhen kis din husn ai dil us rashk-e-pari ka dekhenge
Nazeer Akbarabadi