اردو हिंदी
Hum be-gharon ke dil mein jagati hai Dar gali | Shaahi Shayari
hum be-gharon ke dil mein jagati hai Dar gali

Ghazal

Hum be-gharon ke dil mein jagati hai Dar gali

Zeeshan Ilahi

;

hum be-gharon ke dil mein jagati hai Dar gali
soti hai aadhi raat ko jab be-KHabar gali

mujh ko to jaan-bujh ke bhaTka diya gaya
sarkar ka makan kahan aur kidhar gali

kuchh sal qabl mere bhi hisse mein aai thi
ek dil-nashin sham aur ek muntazar gali

chal to paDa hun shauq-e-makan mein tere magar
aage se band ye bhi milegi agar gali

sine se teri yaad laga kar main so gaya
har-chand shor karti rahi raat-bhar gali

ek arse baad udhar se jo mera guzar hua
tum bin sabhi udas mile KHas kar gali

anjaan shahr mein tha akela nikal paDa
'zishan' tujh ko zehn mein rakhni thi har gali