hum apne ghar se ba-rang-e-hawa nikalte hain
kisi ke haq mein kisi ke KHilaf chalte hain
abhi to din hai abhi taKHt-e-asman pe chamak
tulu-e-sham ke sath aaftab Dhalte hain
chale bhi hum to mah-o-sal ki misal chale
faqir log inhi silsilon mein palte hain
uDe bhi hum to usi samt ruKH raha apna
jidhar uDen to farishton ke par bhi jalte hain
hamare aks tere shahr mein rahe aabaad
ki us jagah to faqat aaine badalte hain
zamin pe panw zara ehtiyat se dharna
ukhaD gae to qadam phir kahan sambhalte hain
'najib' jin ko gharaz ho na kuchh zamane se
unhi ke sath abad tak zamane chalte hain

Ghazal
Hum apne ghar se ba-rang-e-hawa nikalte hain
Najeeb Ahmad