hum aksar tirgi mein apne pichhe chhup gae hain
magar jab raston mein chand ubhra chal paDe hain
zamana apni uryani pe KHun roega kab tak
hamein dekho ki apne aap ko oDhe hue hain
mera bistar kisi footpath par ja kar laga do
mere bachche abhi se mujh se tarka mangte hain
buland aawaz de kar dekh lo koi to hoga
jo galiyan so gai hain to parinde jagte hain
koi tafsil hum se puchhna ho puchh lije
ki hum bhi aaine ke samne barson rahe hain
abhi ai dastan-go dastan kahta chala ja
abhi hum jagte hain jumbish-e-lab dekhte hain
hawa apne hi jhonkon ka taaqub kar rahi hai
ki uDte patte phir aankhon se ojhal ho rahe hain
hamein bhi is kahani ka koi kirdar samjho
ki jis mein lab pe mohren hain dariche bolte hain
idhar se paniyon ka rela kab ka ja chuka hai
magar bachche daraKHton se abhi chimTe hue hain
mujhe to chalte rahna hai kisi jaanib bhi jaun
ki 'aKHtar' mere qadmon mein abhi tak raste hain
Ghazal
Hum aksar tirgi mein apne pichhe chhup gae hain
Akhtar Hoshiyarpuri