hum aap hi ko apna maqsud jaante hain
apne siwae kis ko maujud jaante hain
ijz-o-niyaz apna apni taraf hai sara
is musht-e-KHak ko hum masjud jaante hain
surat-pazir hum bin hargiz nahin we mane
ahl-e-nazar hamin ko mabud jaante hain
ishq un ki aql ko hai jo ma-siwa hamare
nachiz jaante hain na-bud jaante hain
apni hi sair karne hum jalwa-gar hue the
is ramz ko wa-lekin madud jaante hain
yarab kase hai naqa har ghuncha is chaman ka
rah-e-wafa ko hum to masdud jaante hain
ye zulm-e-be-nihayat dushwar-tar ki KHuban
bad-waziyon ko apni mahmud jaante hain
kya jaane dab sohbat az KHwesh raftagan ka
majlis mein shaiKH-sahib kuchh kud jaante hain
mar kar bhi hath aawe to 'mir' muft hai wo
ji ke ziyan ko bhi hum sud jaante hain
Ghazal
Hum aap hi ko apna maqsud jaante hain
Mir Taqi Mir