hum aaj khaenge ek tir imtihan ke liye
ki waqf karna hai dil naz-e-jaan-sitan ke liye
jala ke dil ko lapak se Daro na shole ki
zaban daraaz hai lekin nahin fughan ke liye
isi chaman mein ki wusat hai jis ki na-mahdud
nahin panah ki ja ek aashiyan ke liye
kiya tha zabt ne dawa-e-raazdari-e-ishq
uTha hai dard kaleje mein imtihan ke liye
kisi ko DhunDe na milta nazar ki choT ka nil
na hota dil mein suwaida agar nishan ke liye
siwa-e-dil ke jo sarmaya-e-do-alam hai
na kuchh yahan ke liye hai na kuchh wahan ke liye
na ishq jurm hai koi na dil ki baat hai raaz
bura ho sharm ka ek qufl hai zaban ke liye
KHilaf apne rahi waz-e-saz-o-barg-e-chaman
qafas bane hain jo tinke the aashiyan ke liye
laraz rahe hain falak 'arzu' ki aah-e-rasa
chali hai tegh-ba-kaf fath-e-haft-KHwan ke liye
Ghazal
Hum aaj khaenge ek tir imtihan ke liye
Arzoo Lakhnavi