hum aaj apna muqaddar badal ke dekhte hain
tumhaare sath bhi kuchh dur chal ke dekhte hain
udhar charagh bujhane ko hai hawa betab
idhar ye zid ki hawaon mein jal ke dekhte hain
chalo phir aaj zaminon mein jazb ho jaen
chhalak ke aankh se bahar nikal ke dekhte hain
ye ishq koi bala hai junun hai kya hai
ye kaisi aag hai patthar pighal ke dekhte hain
ajib pyas hai dariya se bujh nahin pai
jo tum kaho to samundar nigal ke dekhte hain
wo gar nigah mila le to moajiza kar de
isi liye to udhar hum sambhal ke dekhte hain
badal ke KHud hi hamin rah gae zamane mein
chale the ghar se ki duniya badal ke dekhte hain
Ghazal
Hum aaj apna muqaddar badal ke dekhte hain
Nafas Ambalvi