halqa-e-sham-o-sahar se nahin jaane wala
dard is dida-e-tar se nahin jaane wala
pa-ba-zanjir nikalega safar ki tadbir
tantana farq-e-hunar se nahin jaane wala
tishna-lab ko to mayassar nahin ek jura-e-ab
bul-hawas luqma-e-tar se nahin jaane wala
munqat'a karte hain bagh-o-shajar-wa-shaKH use
rabt mehnat ka samar se nahin jaane wala
pur-kashish bhi hai sar-afraazi-e-duniya bhi magar
zahr ganjina-e-zar se nahin jaane wala
tark-e-duniya ho ki duniya ki talab ho pyare
ye wo sauda hai jo sar se nahin jaane wala
is pe ek aur ghazab abru-e-KHamdar bhi hai
bach ke is tegh-e-nazar se nahin jaane wala
sari KHushbu simaT aai alif-e-qamat ki
gul-e-tar kaf-e-kamar se nahin jaane wala
pairaw-e-sher-e-KHuda hun asadullahi hun
ya-'ali' main tere dar se nahin jaane wala
Ghazal
Halqa-e-sham-o-sahar se nahin jaane wala
Syed Amin Ashraf