haj ka safar hai is mein koi sath bhi to ho
parda-nashin se apni mulaqat bhi to ho
kab se Tahal rahe hain gareban khol kar
KHali ghaTa ko kya karen barsat bhi to ho
din hai ki Dhal nahin raha is reg-zar mein
manzil bhale na aae kahin raat bhi to ho
majmua chhapne to chale ho miyan magar
ashaar mein tumhaare koi baat bhi to ho
Ghazal
Haj ka safar hai isMein koi sath bhi to ho
Adil Mansuri