hairaton ke silsile soz-e-nihan tak aa gae
hum nazar tak chahte the tum to jaan tak aa gae
na-muradi apni qismat gumrahi apna nasib
karwan ki KHair ho hum karwan tak aa gae
un ki palkon par sitare apne honTon pe hansi
qissa-e-gham kahte kahte hum kahan tak aa gae
zulf mein KHushbu na thi ya rang aariz mein na tha
aap kis ki aarzu mein gulsitan tak aa gae
rafta rafta rang laya jazba-e-KHamosh-e-ishq
wo taghaful karte karte imtihan tak aa gae
KHud tumhein chaak-e-gareban ka shuur aa jaega
tum wahan tak aa to jao hum jahan tak aa gae
aaj 'qabil' mai-kade mein inqalab aane ko hai
ahl-e-dil andesha-e-sud-o-ziyan tak aa gae
Ghazal
Hairaton ke silsile soz-e-nihan tak aa gae
Qabil Ajmeri