hairat se dekhti hai darichon ki saf yahan
bante hain jaan-bujh ke sae hadaf yahan
kin kin ki aatmaen pahaDon mein qaid hain
aawaz do to bajte hain patthar ke daf yahan
chhanti hai jangalon mein daraKHton se raushni
dhabbe hain kaise dhup ke chaaron taraf yahan
uTh uTh ke aasman ko batati hai dhul kyun
miTTi mein dafn ho gae kitne sadaf yahan
ghussa tha jaane kaun si sadiyon ka un ke pas
aankhon se ab bhi bahta hai KHwabon ka kaf yahan
Ghazal
Hairat se dekhti hai darichon ki saf yahan
Javed Nasir