hairat-o-KHauf ke mehwar se nikal paDte hain 
aao aaseb-zada ghar se nikal paDte hain 
jism ko aur sameTun to rag-e-jaan ruk jae 
panw phailaun to chadar se nikal paDte hain 
wo kiya karta hai bandon ki hifazat yun bhi 
raste beach samundar se nikal paDte hain 
sabr mazlum ka jab had se guzarta hai to phir 
war TuTe hue KHanjar se nikal paDte hain 
jab main kahta hun ghazal samne us ke qaisar 
muzmahil lafz bhi bistar se nikal paDte hain
        Ghazal
Hairat-o-KHauf ke mehwar se nikal paDte hain
Noorul Ain Qaisar Qasmi

