'hairat' ke dil pe war kiya hae kya kiya 
KHud ko bhi be-qarar kiya hae kya kiya 
mujh ko na tha KHud apni nigahon pe e'tibar 
aur us ne e'tibar kiya hae kya kiya 
jitna hi main KHarab hua na-tawan hua 
utna hi us ne pyar kiya hae kya kiya 
main us se bad-guman raha uf ai fareb-e-ishq 
aur us ne mujh ko pyar kiya hae kya kiya 
hans hans ke apna daman-e-rangin diya mujhe 
aur main ne tar tar kiya hae kya kiya 
milta tha ek nazar se meri ruh ko qarar 
us ne bhi be-qarar kiya hae kya kiya
        Ghazal
Hairat ke dil pe war kiya hae kya kiya
Hairat Gondvi

