hairat hai jinhen meri taraqqi pe jalan bhi
hain un mein nae dost bhi yaran-e-kuhan bhi
hoti thi kabhi mahfil-e-ahbab mein raunaq
tari hai wahan ab to udasi bhi ghuTan bhi
sath us ka nibhata hun to ye mera hunar hai
wo shaKHs ba-yak-waqt hai pani bhi agan bhi
hanste hue chehre pe bhi aati hai udasi
hai chand ki taqdir mein thoDa sa gahan bhi
is rah-e-mohabbat ki hai itni si kahani
is rah mein aae hain bayaban bhi chaman bhi
manzil ke liye mujh ko mile hain jo sharare
shamil hai unhin mein mere pairon ki thakan bhi
be-nam se kuchh dard yahan Thahre hue hain
hai ek sarae ki tarah apna badan bhi
ab tark-e-talluq ka asar donon taraf hai
sharminda jo tu hai to pasheman hai 'pawan' bhi
Ghazal
Hairat hai jinhen meri taraqqi pe jalan bhi
Pawan Kumar