hairan hun do aankhon se kya dekh raha hun
TuTe hue har dil mein KHuda dekh raha hun
nazron mein teri rang naya dekh raha hun
hathon mein bhi kuchh rang-e-hina dekh raha hun
ruKH un ka kahin aur nazar aur taraf hai
kis samt se aati hai qaza dekh raha hun
phir lai hai barsat teri yaad ka mausam
gulshan mein naya phul khila dekh raha hun
tu aae na aae magar aati hai teri yaad
yaadon mein tujhe aabla-pa dekh raha hun
ye kaisi siyasat hai mere mulk pe hawi
insan ko insan se juda dekh raha hun
kaghaz pe hue mere watan ke kai TukDe
punjab ki banhon ko kaTa dekh raha hun
taKHliq na sambhali to bane log muhaqqiq
ghaalib ka hua haal ye kya dekh raha hun
kal tak jo diye mahfil-e-yaran mein the raushan
aaj un ko sitaron mein chhupa dekh raha hun
Ghazal
Hairan hun do aankhon se kya dekh raha hun
Sabir Dutt