hairan hai jabin aaj kidhar sajda rawa hai
sar par hain KHudawand sar-e-arsh KHuda hai
kab tak ise sinchoge tamanna-e-samar mein
ye sabr ka pauda to na phula na phala hai
milta hai KHiraj us ko teri nan-e-jawin se
har baadshah-e-waqt tere dar ka gada hai
har ek uqubat se hai talKHi mein sawa-tar
wo rang jo na-karda gunahon ki saza hai
ehsan liye kitne masiha-nafason ke
kya kijiye dil ka na jala hai na bujha hai

Ghazal
Hairan hai jabin aaj kidhar sajda rawa hai
Faiz Ahmad Faiz