hain sare inkishaf apne hain sare mumkinat apne
hum is duniya ka sara ilm le jaenge sat apne
chamak waisi na mathe par damak waisi na chehre par
sitare kis ke ghar jaane luTa aai hai raat apne
na hogi dilkashi duniya mein ek din wo bhi aaega
ki sare raaz ugal degi kisi din kaenat apne
nahin gar dekh sakti maut se laDte hue mujh ko
to phir ai zindagi le ja tu sare iltifat apne
khula hai umr ki sham-e-hazin mein raaz ye 'pashi'
ki har dam maut ko bhi sath rakhti hai hayat apne
Ghazal
Hain sare inkishaf apne hain sare mumkinat apne
Kumar Pashi