اردو हिंदी
Hain jaane-bujhe yar ham, hum sath an-jaani na kar | Shaahi Shayari
hain jaane-bujhe yar ham, hum sath an-jaani na kar

Ghazal

Hain jaane-bujhe yar ham, hum sath an-jaani na kar

Mirza Azfari

;

hain jaane-bujhe yar ham, hum sath an-jaani na kar
dar se hamein durkar na jaani ye nadani na kar

ek dil tha jo tujh ko diya hai aur dil jo aur le
hum chahen tujh chhuT aur ko ye baat diwani na kar

arsh-e-ilahulalamin ja-e-adab hai khol jhaD
hai KHana-e-dil gharq par dekh ashk tughyani na kar

hain jhonpaDiyan ham-sae mein mat aag in ko lag uThe
nichli tu rah sine mein Tuk, Tuk aah jaulani na kar

hum ishq tere hath se kya kya na dekhin haalaten
dekh aab-dida KHun na ho KHun-e-jigar pani na kar

aansu ke hai dariya pe aa dil ka safina tar raha
ab 'azfari' mat aah bhar kashti ye tufani na kar