اردو हिंदी
Hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen | Shaahi Shayari
hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen

Ghazal

Hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen

Imtiyaz Saghar

;

hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen
main taq mein rakh aaya hun jalti hui aankhen

ek pal bhi kisi moD pe rukne nahin detin
kanTon ki tarah jism mein chubhti hui aankhen

raste mein qadam phunk ke rakhna mere pyaro
hain chaaron taraf shahr mein bikhri hui aankhen

yun us ke bichhaD jaane pe aansu na bahao
manzar ko taras jaengi bhigi hui aankhen

qatil ke siwa koi samajh hi nahin sakta
kya dekhti hain tasht mein rakkhi hui aankhen

kya jaaniye kis KHwab ki tabir mein gum hain
zulfon ki ghani chhanw mein uljhi hui aankhen

'saghar' shab-e-tira mein ujalon ki amin hain
nafrat ke samundar mein ye bahti hui aankhen