اردو हिंदी
Hain be-niyaz-e-KHalq tera dar hai aur hum | Shaahi Shayari
hain be-niyaz-e-KHalq tera dar hai aur hum

Ghazal

Hain be-niyaz-e-KHalq tera dar hai aur hum

Rasheed Rampuri

;

hain be-niyaz-e-KHalq tera dar hai aur hum
teri gali hai KHak ka bistar hai aur hum

sajdon se raat din ke hai tauhin-e-bandagi
sar toDne ke waste patthar hai aur hum

is KHauf se ki panw na khul jae ghair ka
din raat ku-e-yar ka chakkar hai aur hum

kaisa KHulus kis ki mohabbat kahan ka ishq
mahshar mein daman-e-but-e-KHud-sar hai aur hum

go harf harf Dal diya un ke kan mein
aage 'rashid' apna muqaddar hai aur hum